jab yaar ne utha kar zulfon ke baal baandhe
tab main ne apne dil mein laakhon khayal baandhe
जब यार ने उठा कर ज़ुल्फ़ों के बाल बाँधे
तब मैं ने अपने दिल में लाखों ख़याल बाँधे
poocha jo un se chaand nikalta hai kis tarah
zulfon ko rukh pe daal ke jhatka diya ki yun
पूछा जो उन से चाँद निकलता है किस तरह
ज़ुल्फ़ों को रुख़ पे डाल के झटका दिया कि यूँ
Ada Un Kaale Kaale Gesuon Ki Kuchh Niraali Hai
Banaane Se Bigadte Hain Sanwaare Se Bikharte Hain
************************************
Chehre Pe Mere Zulf Ko Bikhraao Kisi Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisi Din
************************************
Neend Us Ki Hai, Dimaagh Us Ka Hai, Raaten Us Ki Hain
Teri Zulfen Jis Ke Baazoo Par Parishaan Ho Gaeen
************************************
Vo Lajaaye Mere Savaal Par Ke Utha Sake Na Jhuka Ke Sar
Udi Zulf Chehre Pe Is Tarah Ke Shabon Ke Raaz Machal Gaye
************************************
Sair-E-Bahaar-O-Baagh Se Ham Ko Muaaf Keejiye
Us Ke Khayaal-E-Zulf Se ‘Dard’ Kise Faraagh Hai
************************************
Idhar Khayaal Mere Dil Mein Zulf Ka Guzara
Udhar Vo Khaata Huaa Dil Mein Pech-O-Taab Aayaa
************************************
Bahut Mushkil Hai Duniyaa Ka Sanvaranaa
Teri Zulfon Kaa Pech-O-Kham Nahin Hai
************************************
Hum Huey, Tum Huey, Ke Meer Huey,
Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Huey.
************************************
Apni Zulfon Ko Sitaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Bada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do.
Talkhi-E-Hosh Ho Ya Masti-E-Idarak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do.
************************************
Mauj-E-Naseem-E-Subah Ke Qurbaan Jaaiye,
Aai Hai Boo-E-Zulf-E-Mu’amber Liye Huey.
************************************
Tu Ne Sulajh Kar Gesu-E-Jaanaan,
Aur Barha Di Dil Ki Uljhan.
************************************
Us Ne Shaanon Pe Zulf Barham Ki
Khair Yaa Rab Nizaam-E-Aalam Ki
************************************
Zulf Se Hai Ai Pari-Roo Husn Tera Jis Tarah
Bas Yun Hi Zeenat Hai Ham Deewaanon Ki Zanjeer Ki
************************************
Lazzat-E-Wahshat Se Jalta Hoon Kahin Bhaage Na Dil
Hain Mushabeh Aap Ki Zulfen Bahut Zanjeer Se
************************************
Kya Poochte Ho Ishq Hai Zulf-E-Dona Ke Saath
Ham Teera-Bakht Rahte Hain Kali Bala Ke Saath
************************************
Rukh Bhi Dikhlaao Mujhe Zulf-E-Siyah-Faam Ke Baad
Qayada Hai Ki Sehar Hoti Hai Har Shaam Ke Baad
************************************
Zulf Be-Tarah Badhi Aati Hai
Kamar-E-Yaar Ka Khuda Hafiz
************************************
Rukh-E-Taabaan To Huwa Jaan Ka Khwahaan Paida
Dil Phansaane Ko Huwi Zulf-E-Prishaan Paida
************************************
Zulfon Ki To Fitrat Hai Lekin Mere Pyare
Zulfon Se Bhi Zyada Balkhaye Chalo Ho
************************************
Zaahid Ne Mera Haasil-E-Imaan Nahin Dekha,
Rukh Par Teri Zulfon Ko Pareshaan Nahin Dekha.
************************************
Tu, Aur Aaraaish-E-Kham-E-Kaakul,
Main Aur Andesha-Haaye Door-O-Daraaz.
************************************
Taarikiyaan Chamak Gaeen Aawaaz-E-Dard Se,
Meri Ghazal Se Raat Ki Zulfen Sanwar Gaeen.
************************************
Balaaen Zulf-E-Janaan Ki Agar Lete To Hum Lete,
Bala Yeh Kaun Leta Jaan Par, Lete To Tum Hum Lete.
************************************
Ai Gesu-E-Ghazal! Teri Zulfon Mein Chhaon Hai
Baaqi Kisi Bhi Dhoop Mein Koi Shajar Nahin
************************************
Mukhalif Baad-E-Sarsar Mein Zara Lahraane Do Zulfen
Isi Mein Hum Watan Ka Apne Parcham Dekh Lete Hain
Nazar Se Aasman Ko Dekhna Bhi Kya Zaroori Hai
Teri Zulfon Mein Jaanam Kahkashan Hum Dekh Lete Hain
************************************
Ik Na Ik Zulmat Se Jab Wabasta Rahna Hai, To Josh,
Zindagi Par Sayaa-E-Zulf-E-Pareshaan Kyon Na Ho.
************************************
Chhedati Hain Kabhi Lab Ko Kabhi Rukhsaaron Ko
Tum Ne Zulfon Ko Bahut Sar Pe Chadhaa Rakha Hai
************************************
Kabhi Jo Nikhat-E-Zulf-E-Nigaar Aai Hai
Fazaa-E-Murda-E-Dil Men Bahaar Aai Hai
Uljha hai paanv yaar ka zulf-e-daraz mein
Lo aap apne daam mein sayyad aa gaya
الجھا ہے پانوں یار کا زلف دراز میں
لو آپ اپنے دام میں صیاد آ گیا
उलझा है पाँव यार का ज़ुल्फ़-ए-दराज़ में
लो आप अपने दाम में सय्याद आ गया
Is ki zulf arasta pairasta
Is ki zulf arasta pairasta
Ik zarA si barhami darkar hai
اس کی زلف آراستہ پیراستہ
اک ذرا سی برہمی درکار ہے
इस की ज़ुल्फ़ आरास्ता पैरास्ता
इक ज़रा सी बरहमी दरकार है
Waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai
Waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai
Zulfon ko us ne khol diya raat ho gai
وقت غروب آج کرامات ہو گئی
زلفوں کو اس نے کھول دیا رات ہو گئی
वक़्त-ए-ग़ुरूब आज करामात हो गई
ज़ुल्फ़ों को उस ने खोल दिया रात हो ग
Kai chand thy sar aasman ke chamak chamak ke palat gaye
Kai chand thy sar aasman ke chamak chamak ke palat gaye
Na laho mery hi jigar mein tha na tumhari zulf sayah thi
کئی چاند تھے سر آسماں کہ چمک چمک کے پلٹ گئے
نہ لہو مرے ہی جگر میں تھا نہ تمہاری زلف سیاہ تھی
Na jeeya teri chasma ka mara
Na jeeya teri chasma ka mara
Na teri zulf ka bandha chota
نہ جیا تیری چشم کا مارا
نہ تری زلف کا بندھا چھوٹا
Jab yaar ne utha kar zulfon ke baal bandhy
Jab yaar ne utha kar zulfon ke baal bandhy
Tab mein ne apne dil mein lakhon khayal bandhy
جب یار نے اٹھا کر زلفوں کے بال باندھے
تب میں نے اپنے دل میں لاکھوں خیال باندھے
Ijazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/Zindagi Shayari/
Ijazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
Suna hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
اجازت ہو تو میں تصدیق کر لوں تیری زلفوں سے
سنا ہے زندگی اک خوبصورت دام ہے ساقی
इजाज़त हो तो मैं तस्दीक़ कर लूँ तेरी ज़ुल्फ़ों से
सुना है ज़िंदगी इक ख़ूबसूरत दाम है साक़ी
Hoti Ho Gi Mere Bosey Ki Talab Mai
/Wasi Shah Poetry/Yaad Poetry/
H0ti H0 Gi Mere B0sey Ki Talab Mai Pagal
Jab Bhi Zulf0n Mai K0i Ph00l Sajaati H0 Gi
ہوتی ہوگی میرے بوسے کی طلب میں پاگل
جب بھی زلفوں میں کوئی پھول سجاتی ہوگی
Kitni Zulfain Kitne Aanchal Uray Chand
/Aansu Shayari/Dard Shayari/Wasi Shah Poetry/
Kitni Zulfain Kitne Aanchal Uray Chand Ko Kya Khabar
Kitna Matam Hua Kitne Aansu Bahe Chand Ko Kya Khabar
کتنی زلفیں کتنے آنچل اڑے چاند کو کیا خبر
کتنا ماتم ہوا کتنے آنسو بہے چاند کو کیا خب
Hum Hue Tum Hue K ‘Mir’ Hue
/Mir Taqi Mir Poetry/
Hum Hue Tum Hue K ‘Mir’ Hue
Us Ki Zulfon K Sab Asir Hue
ہم ہوئے تم ہوئے کہ میرؔ ہوئے
اس کی زلفوں کے سب اسیر ہوئے
हम हुए तुम हुए कि ‘मीर’ हुए
उस की ज़ुल्फ़ों के सब असीर हुए
Also read this
Which engineering branches are the toughest?
Best Love Shayari in English 2024
15+ best 2 Line Love Shayari in English 2024
Attitude Shayari For Girls In Hindi